Monday, 15 August 2016

Apne sab yaar kaam kar rahe hain,
Aur hum hain ke naam kar rahe hain,
Tegh-baazi ka shauq apni jagah,
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain,
Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun,
Hum to khud se kalaam kar rahe hain,
Hum hain masroof-e-intizaam magar,
Jaane kya intizaam kar rahe hain,
Hai woh bechaargi ka haal ke hum,
Har kisi ko salaam kar rahe hain,
Aik qataala chahiye hum ko,
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain,
Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh,
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain,
Us ke honton pe rakh ke hont apne,
Baat hi hum tamaam kar rahe hain,
Hum ajab hain ke us ke kuchay main,
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain..

No comments:

Post a Comment