Monday, 15 August 2016

Zindagi hai ya koi tuufaan hai,
Hum to is jeene ke hathon mar chale..



Main aik zamaane se tumhe dhoond raha hoon,
Tum aik zamaane se khuda jaane kahan ho..



Masoom kis qadar tha main aghaaz-e-ishq main,
Aksar to us ke saamne sharmaa geya hoon main..



Ik umar hum kisi pe bharosa kiye rahe,
Phir umar bhar kisi pe bharosa nahin kiya..



Yeh fakhar to haasil hai buray hain ke bhalay hain,
Do chaar qadam hum bhi tere saath chale hain..
Mazdoor hoon mehnat ka silaa maang raha hoon,
Haq dijiye khairaat nahin chahiye mujhe..



Maine dekha hai keyi baar palatt ke,
Tum kahin bhi to dikhaayi nahin dete..



Mujhe maloom tha yeh sab, mera wajdaan kehta tha,
Ik haadsa darpaish hona hai, mujhe darwaish hona hai..



Kya ghazab hai ke hijr ke din bhi,
Zindagi main shumaar hote hain..



Aaj se hum ne chorr di zahid,
Iss khushi main to jaam ho jaye..
Chal sath ke hasrat dil-e- marhoom se nikle,
Aashiq ka janaaza hai zara dhoom se nikle..



Sii ke lab aik qayamat si utha di jaye,
Reh ke khamosh zara dhoom macha di jaye..



Is zulm ki duniya main faqat pyar meri maan,
Hai mere liye saaya deewar meri maan,
Nafrat ke jazeeron se mohabbat ki hadhon tak,
Bass pyar hai, haan pyar hai, pyar meri maan..


Apna tawaan leke chorray ga,
Ishq hai jaan le ke chorray ga..


Saahil ke tamashaayi har doobne wale per,
Afsos to karte hain imdaad nahin karte..


Farz karo hum ehl-e-wafaa hon, farz karo deewane hon,
Farz karo yeh dono baaten jhooti hon afsaane hon..



Kis kis ki zubaan rokne jaaon teri khaatir,
Kis kis ki tabaahi main tera haath nahin hai..



Aur bhi gham hain zamaane main mohabbat ke siwa,
Raahaten aur bhi hain vasl ki rahat ke siwa..



Yeh dil kabhi na mohabbat main kamyaab hua,
Mujhe kharab kiya, aap bhi kharab hua..



Mohabbat tark ki maine, girebaan sii liya maine,
Zamaane ab to khush ho zeher yeh bhi pii liya maine..

Aik sadaa mere taaqub main ayi to thi,
Anaa ka masla tha, warna palatt gaye hote..



Dhoop main saaya bane tanha kharre hote hain,
Barre logon ke khasaaray bhi barre hote hain..



Phir se tootay ga dil yeh bechaara,
Phir wohi bewafa hai aur main hoon..



Tere lehje se kyun laga mujh ko,
Tu mere roothne pe raazi hai..



Main musafir hoon, khataayen bhi hui hain mujh se,
Tum taraazuu main mere paaon ke chaalay rakhna.
Us ne aesi chaal chali ke meri maat yaqeeni thi,
Phir apni apni qismat thi, haara main, pachtaaya woh..



Deewangi-e-shoq ko yeh dhun hai ke in dinon,
Ghar bhi ho aur be-dar o deewar sa bhi ho..



Be-sabab zalzala aalam main nahin ata,
Koi betaab teh-khaak tarrapta hoga..



Yeh mohabbat bhi hai kya rog faraz,
Jis ko bhoolen woh sadaa yaad aye..



Waqeyi ab tera hijr mujhe chaat geya,
Apni tasveer puraani se pata chalta hai..
Masroof hai khalaq eid ki tayarion main aur mein,
Mehv-e-fikr hoon ke sab se hansss kar milna hoga..



Mere chehre se na andaaza lagana ke yeh umar,
Mujh pe beeti hai bohat, maine guzaari kam hai..



Jaahilon main nahin mile itne,
Jitne jahil parrhe likhon main mile..



Tu hamari tarah bassar kar to sahi,
Zindagi tere bhi maathay pe paseena aa jaye.



Main apne rab ki rehmat ka karoon ka tazkara aabi,
Munaafa mujh ko deta hai khasaara cheen leta hai..
Mera mizaaj nahin haan main haan nahin milane ka,
Ghalat thi baat teri, ikhtlaaf maine kiyaa.



Aik suuraj tha ke taaron ke gharaanay se utha,
Aankh hairaan hai, kya shakss zamanay se utha..




Ghar to aesa kahan tha lekin,
Darbadar hoon to yaad ata hai..




Kash koi na likhe sher dukh bharay shahid,
Haal dil ka ho mussarat se bayaan eid ke din..




Chand dekha hai to yaad ayi hai teri suurat,
Haath uthte hain magar harf-e-duaa yaad nahin..


Aj tak jo bhi hua us ko bhula dena hai,
Aj se tey hai ke dushman ko dua dena hai..




Yoon tassalli de rahe hain hum dil-e-bemaar ko,
Jiss tarah thaamay koi girti hui deewar ko.





Manzil ka pata hai na kisi rehguzar ka,
Bas aik thakan hai ke jo hasil hai safar ka..






Mere labon pe yeh muskurahat magar jo seenay main dard sa hai,
Isi jagah kyun bhattak raha hoon agar yehi rasta ghar ka hai..





Koi aaye battaaye haath mera,
Main apne bojh se thakne laga hon..
                          Mujh pe tawajjoh hai sari aafaat ki,
                           Koi to kashish hai meri zaat main..



      
                    Baaki hi kya raha hai tujhe maangne ke baad,

                      Bass ik dua main choott gaye har dua se hum..
Ab yeh sochoon to bhanwar zehen main parr jate hain,
Kaise chehre hain jo milte hi bicharr jatay hain,
Kyun tere dard ko dain tohmat -e- veerani dil,
Zalzlon main to bharay sheher ujarr jatay hain,
Mausam-e-zard main aik dil ko bachaaon kaise,
Aisi rut main to ghanay pairr bhi jharrr jatay hain,
Ab koi kya mere qadmon ke nishaan dhoondhay ga,
Taiz aandhi main to khaimay bhi ukharr jatay hain,
Shidat-e-gham main bhi zinda hoon to hairat kesi,
Kuch diye tund hawaaon main bhi larr jatay hain,
Woh bhi kya log hain Mohsin jo wafa ki khatir,
Khud-taraasheda asoolon pe bhi arr jatay hain..
Azaab yeh bhi kisi aur pr nahin aya,
Ke ik umar chale aur ghar nahin aya,
Is ek khawb ki hasrat main jal bujhi ankhen,
Woh ek khawb ke ab tak nazar nahin aya,
Karen to kis se karen na-rasayion ka gila,
Safar tamaam hua hamsafar nahin aya,
Dilon ki baat badan ki zubaan se keh dete,
Yeh chahte thay magar dil idar nahin aya,
Ajeeb hi tha mere daur-e-gumraahi ka rafiq,
Bicharr geya to kabhi laut kar nahin aya..
Apne sab yaar kaam kar rahe hain,
Aur hum hain ke naam kar rahe hain,
Tegh-baazi ka shauq apni jagah,
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain,
Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun,
Hum to khud se kalaam kar rahe hain,
Hum hain masroof-e-intizaam magar,
Jaane kya intizaam kar rahe hain,
Hai woh bechaargi ka haal ke hum,
Har kisi ko salaam kar rahe hain,
Aik qataala chahiye hum ko,
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain,
Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh,
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain,
Us ke honton pe rakh ke hont apne,
Baat hi hum tamaam kar rahe hain,
Hum ajab hain ke us ke kuchay main,
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain..
Tumhare sheher ka mausam barra suhaana lage,
Main ik shaam chura loon agar bura na lage,
Tumhare bas main agar ho to bhool jao humen,
Tumhen bhulaane main shayed mujhe zamaana lage,
Hamare pyar se jalne lagi hai ik duniya,
Dua karo kisi dushman ki baduaa na lage,
Na jane kya hai us ki be-baak ankhon main,
Woh mu chupaa ke jaye bhi to bewafa na lage,
Jo doobna hai to itne sakoon se doobo,
Ke aas paas ki lehron ko bhi pata na lage,
Ho jis ada se mere sath bewafayi kar,
Ke tere baad mujhe koi bewafa na lage,
Woh phool jo mere daaman se ho geya mansoob,
Khuda kare usay bazaar ki hawa na lage,
Tum aankh muund ke pe jao zindagi qaiser,
Ke aik ghoont main shaayed yeh bd-maza na lage..
Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de,
Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de,
Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon,
Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de,
Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan,
Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de,
Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten,
Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de,
Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar,
Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de,
Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin,
Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de,
Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai,
Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de,
Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi,
Mujhe dar hai ae mere chaaragar, yeh chiraagh tu hi bhujaa na de,
Woh uthe hain le ke khum-o-subuu, aray ae shakeel kahan hai tu,
Tera jaam lene ko bazm main, koi aur hath barrha na de..
Mujh se ooncha tera qadd hai, hadh hai,
Phir bhi seenay main hassad hai, hadh hai,
Mere to lafz bhi korri ke nahin,
Tera nukta bhi sanad hai, hadh hai,
Teri har baat hai sar ankhon pr,
Meri har baat hi rad hai, hadh hai,
Ishq meri hi tamanna to nahin,
Teri niyat bhi to badd hai, hadh hai,
Zindagi ko hai zaroorat meri,
Aur zaroorat bhi ashad hai, hadh hai,
Be-tahasha hain sitaare lekin,
Chand bass aik adad hai, hadh hai,
Ashk ankhon se yeh keh kar nikla,
Yeh tere zabt ki hadh hai? hadh hai,
Rokte kyun nahin is ko jaazil,
Yeh jo saanson ki rassad hai, hadh hai..
Seena khoon se bhara hua mera,
Uff yeh bd-mast mai-kada mera,
Na-rasaayi pe naaz hai jis ko,
Haaye woh shoq na-rasaa mera,
Ishq ko muu dikhaaon ga kyun-kar,
Hijr main rang urr geya mera,
Dil gham-deeda pr khudaa ki maar,
Seena aahon se chhal geya mera,
Yaad ke tand-o-taiz jhonkay se,
Aaj har daagh jal utha mera,
Yaad-e-maazi azaab hai ya rab,
Cheen le mujh se haafza mera,
Minat-e-chargh se barii hoon main,
Na hua jeetay jee bhala mera,
Hai bara shughal zindagi akhtar,
Poochte ho kya mashghala mera..
Hujoom main tha woh khul ka na ro saka hoga,
Magar yaqeen hai ke shab bhar na so saka hoga,
Woh shaks jis ko samajhne main mujh ko umar lagi,
Bichar ke mujh se kisi ka na ho saka hoga,
Laraztay hath, shikassta si ddor sanson ki,
Woh khushk phool kahan tak piro saka hoga,
Mere liye woh qabeelay ko chor kar ata,
Mujhe yaqeen hai yeh us se na ho saka hoga..
Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi,
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malaal bhi,
Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aese dekhta,
Ek dafah to ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhi,
Dil to chamak sake ga kya phir bhi tarash ke dekh lain,
Sheesha giraan-e-sheher ke haath ka yeh kamaal bhi,
Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,
Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Hath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi,
Uss ki sukhnn taraaziyan mere liye bhi dhaal theen,
Us ki hansi main chupp geya apne ghamon ka haal bhi,
Shaam ki nasamajh hawaa puch rahi hai aik pata,
Mauj-e-hawaa-e- ku-e-yaar, kar kuch to mera khayal bhi..

Freedom Fighter Ram Prasad Bismil's Poetry for Mother India.

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
Ek se karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet
Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Waqt aanay par bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Hum to ghar se hi the nikle baandhkar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo barh chale hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai
Wo jism bhi kya jism hai jis mein na ho khoon-e-junoon
Kya lade toofaanon se jo kashti saahil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qatil mein hai